Wednesday, May 14, 2008


Yeh Safar

Hosh to na humein kal thaa
Na aaj hain Aur na kabhi aayega
Par yeh ehsaas
Is safar ka ab hamesha sataega
Aur bhasm hoga ek din
Is bashar ki goad mein
ke phir waqt ki khamoshi mein
yun hin kat gaya

Yeh Safar ...

Un lamhon ki taazgi
woh yaaron ki dildaari
ke phir kya koi falsafa
jab yaad unki aayegi
jaise thaa ek paimanaa
jiski madhoshi mein
gujara woh zamanaa
ke zehan bhi utar na paaya woh fasana
aur yun ki kat gaya

Yeh Safar ...

Surkh hue woh ashq
jo judaai mein beh chale
ke ab to aankh bhi phir chaukas hai
phir kab laaut aaye woh pal
par na jaan sakegi yeh duniya
tadap is dil kee
ke kyun thee hum namm
jab yun hi thamm gaya

Yeh Safar ...

-----xxxx----

To BHU , with Love

2 Comments:

Blogger Apoorva said...

didn't know u cud write in hindi just as well.
really nice.

12:46 PM  
Blogger Unknown said...

all d best for d journey ahead..

11:22 PM  

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home